ye hasrateñ bhī mirī sā.iyāñ nikālī jaa.eñ
ki dasht hī kī taraf khiḌkiyāñ nikālī jaa.eñ
bahār guzrī qafas hī meñ hāv-hū karte
ḳhizāoñ meñ to mirī beḌiyāñ nikālī jaa.eñ
ye shaam kaafī nahīñ hai siyah-libāsī ko
shafaq se aur zarā surḳhiyāñ nikālī jaa.eñ
to bach raheñgī barahna badan kī sauġhāteñ
mohabbatoñ se agar dūriyāñ nikālī jaa.eñ
mire jalā.e diyoñ kā bhī kuchh ḳhayāl rahe
jo is makāñ se kabhī khiḌkiyāñ nikālī jaa.eñ
ye kaisī zid hai ki pahle badan se jaañ nikle
phir us ke ba.ad sabhī siskiyāñ nikālī jaa.eñ
to tum bhī merī tarah laḌkhaḌāne lag jaao
agar tumhārī bhī baisākhiyāñ nikālī jaa.eñ
ye ḳhūñ-bahā bhī adā kar chukī hai ḳhvāboñ kā
to merī aañkh se ab kirchiyāñ nikālī jaa.eñ
nikal paḌegā mirā sar bhī saath hī 'sādiq'
jo mere sar se kabhī pagḌiyāñ nikālī jaa.eñ