Ehtimam Sadiq

jo ek umr hansa tha mujhe satate hue

Ehtimam Sadiq

Balrampur, Uttar pradesh, India

1993
jo ek umr hañsā thā mujhe satāte hue
vo ro paḌā hai mirī dāstāñ sunāte hue
kisī ke pyaar kī ye āḳhirī nishānī hai
havā ne ye bhī na sochā diyā bujhāte hue
tumheñ bhī vaqt kī gardish nigal na jaa.e kahīñ
zarā ḳhayāl ho merī hañsī uḌāte hue
vo shaḳhs jis kā ta.alluq na thā koī mujh se
ye kyā ki rone lagā mujh se duur jaate hue
nigāh-e-nāz kī farmā-ravā.iyāñ tauba
vo muskurā bhī rahī thiiñ sazā sunāte hue
ilaaj apne añdheroñ kā aap ḳhud kiije
kumhār thak se ga.e haiñ diyā banāte hue
ghulā hai dard fazāoñ meñ is tarah 'sādiq'
ki jaan jaatī hai ik baar muskurāte hue
Top Urdushayar.com