Bismil Allahabadi

qabil-e-sharh mera haal-e-dil-e-zar na tha

Bismil Allahabadi

qābil-e-sharh mirā hāl-e-dil-e-zār na thā
sunñe vaale to bahut the koī ġham-ḳhvār na thā
ab vo jiine ke liye soch rahā hai tadbīr
apne hāthoñ jise marnā kabhī dushvār na thā
mujh se pūchho to qazā us kī hai maut us kī hai
dosh-e-ahbāb pe jo mar ke girāñ-bār na thā
chunte the baaġh meñ aa aa kar unheñ ahl-e-junūñ
āshiyāñ kā mire tinkā koī bekār na thā
ye hamīñ ne to mohabbat kī nikālīñ rasmeñ
aap par marne ko pahle koī tayyār na thā
dām-e-sayyād meñ āzād rahā shikva-e-ġham
maiñ giraftār thā lekin ye giraftār na thā
ab unheñ sāmne aane meñ hai uzr ai 'bismil'
milne-julne se jinheñ peshtar inkār na thā
Top Urdushayar.com