Bismil Allahabadi

un se kah do ki ilaj-e-dil-e-shaida na karen

Bismil Allahabadi

un se kah do ki ilāj-e-dil-e-shaidā na kareñ
yahī achchhā hai ki bīmār ko achchhā na kareñ
kyā kahā phir to kaho ham koī shikvā na kareñ
chup raheñ zulm saheñ zulm kā charchā na kareñ
ye tamāshā to kareñ ruḳh se uThā deñ vo naqāb
ek aalam ko magar mahv-e-tamāshā na kareñ
vaqt-e-āḳhir to nikal jaa.e tamannā merī
vo na aise meñ bhī aa.eñ kahīñ aisā na kareñ
intihā ho ga.ī āzād-dahī kī sayyād
ham tasavvur meñ bhī gulzār ko dekhā na kareñ
roz vo kahte haiñ aaj ā.eñge kal ā.eñge
aise va.ade se to behtar hai ki va.adā na kareñ
ḳhud-numā.ī unheñ ġhairoñ meñ liye phirtī hai
ham to jab jāneñ ki ham se bhī vo pardā na kareñ
teġh ruk jaatī hai nāvak bhī bahak jaatā hai
koī 'bismil' ko ye samjhā de ki taḌpā na kareñ
Top Urdushayar.com