itnā bhī na saaqī hosh rahā pī kar ye hameñ mai-ḳhāna thā
gardish meñ hamārī qismat thī chakkar meñ tirā paimāna thā
mahrūm thā soz-e-ulfat se jal jaane se begāna thā
fānūs ke andar sham.a rahī bāhar bāhar parvāna thā
mai-ḳhāne se ham ruḳhsat jo hue to aur hī kuchh mai-ḳhāna thā
ik kone meñ ḳhum rakhā thā ik goshe meñ paimāna thā
huuñ rang-e-mohabbat se vāqif huuñ soz-e-mohabbat se vāqif
gulzār meñ bulbul maiñ thā kabhī mahfil meñ kabhī parvāna thā
dāman meñ jo chun kar rakhtā thā sab jaib-o-garebāñ ke TukḌe
hoshyār vahī dīvāna thā dīvāna vo kab dīvāna thā