vo jo dekhe the maiñ ne kabhī ḳhvāb meñ
bah ga.e phuul saare vo sailāb meñ
nā-ḳhudā kī jo niyyat thī zāhir huī
jab bhī kashtī mirī aa.ī girdāb meñ
raaz ab tak kisī pe na ye khul sakā
mar ga.iiñ machhliyāñ kaise tālāb meñ
jitne bhī zaḳhm the ḳhud-ba-ḳhud bhar ga.e
jab se dekhā hai ik daaġh mahtāb meñ
ek muddat se ham un se kaT haiñ ga.e
tazkire phir bhī hote haiñ ahbāb meñ
apnī har baat 'robīna' had meñ rahī
band haiñ ham to aḳhlāq-o-ādāb meñ