rāsta hogā jab tak na hamvār sā
har safar hogā phir us pe dushvār sā
ye ḳhulūs-o-mohabbat kī zanjīr thī
jis ne kar Daalā us ko giraftār sā
us kā chehra lakīroñ meñ baT sā gayā
apnī ḳhātir banā hai vo āzār sā
is zabāñ se use kuchh na kahnā magar
lafz tahrīr meñ rakhnā talvār sā
kyā 'robīna' tire haath thakte nahīñ
likhte likhte kahānī kā kirdār sā