Robeena Meer

be-ruKHi hi be-ruKHi hai har taraf

Robeena Meer

be-ruḳhī hī be-ruḳhī hai har taraf
bikhrī bikhrī zindagī hai har taraf
dushmanī hī dushmanī hai har taraf
aag nafrat kī lagī hai har taraf
kis ne ye jiinā ajīran kar diyā
ḳhauf dahshat sansanī hai har taraf
koī shai bhī ab nahīñ hai mashriqī
rañg sab kā maġhribī hai har taraf
baat jo dil meñ hai kah sakte nahīñ
kaisī apnī bebasī hai har taraf
aadmī meñ ādamiyat tak nahīñ
baat achchhī kaun sī hai har taraf
jis meñ 'robīna' nahīñ hai fikr-o-fan
kyā kaheñ kyā shā.irī hai har taraf
Top Urdushayar.com