yuuñ na rañj-o-malāl kījiyegā
yuuñ na jiinā muhāl kījiyegā
jin kā koī javāb mumkin ho
ham se aise savāl kījiyegā
ham ne ho aap kā burā chāhā
pesh koī misāl kījiyegā
log paḌ jaa.eñ jis se hairat meñ
aisā bhī kuchh kamāl kījiyegā
ham ki sambhle haiñ saḳht mushkil se
ab na paidā vabāl kījiyegā
jis se mazbūt dil ke rishte hoñ
vo ta.alluq bahāl kījiyegā
jī rahī hai ye kaise 'robīna'
apnī kuchh dekh-bhāl kījiyegā