Robeena Meer

ki phir paida meri KHatir koi mushkil na ho jae

Robeena Meer

ki phir paidā mirī ḳhātir koī mushkil na ho jaa.e
pareshāñ huuñ ye merā dil kahīñ buzdil na ho jaa.e
bhañvar meñ merī kashtī ko yahī ehsās rahtā hai
Dubone meñ mirā ye nāḳhudā shāmil na ho jaa.e
isī ik ḳhauf se maiñ apnī palkeñ tak nahīñ jhapkūñ
ki us kā chehra āñkhoñ se merī ojhal na ho jaa.e
mujhe is baat kī har lamha itnī fikr rahtī hai
ki us kī yaad se merā ye dil ġhāfil na ho jaa.e
kabhī us kī jafāoñ kī shikāyat karnā bhī chāhūñ
magar phir sochtī huuñ vo kahīñ bad-dil na ho jaa.e
bhalā thak haar kar baiThūñ 'robīna' to kahāñ baiThūñ
jise maiñ chhoḌnā chāhūñ mirī manzil na ho jaa.e
Top Urdushayar.com