Aziz Ejaz

jaise koi rota hai gale pyar se lag kar

Aziz Ejaz

1953
jaise koī rotā hai gale pyaar se lag kar
kal raat maiñ royā tirī dīvār se lag kar
har ek ke chehre pe hai tashvīsh numāyāñ
baiThe haiñ masīhā tire bīmār se lag kar
phūloñ kī mohabbat ne sabaq mujh ko sikhāyā
zaḳhmī jo hue haath mire ḳhaar se lag kar
ġhammāzi-e-ḳhushbū pe khulā raaz chaman meñ
guzrī hai sabā gesū-e-dildār se lag kar
jab jab dil-e-vahshī ko tire ġham ne satāyā
ham baiTh ga.e zānū-e-ġhamḳhvār se lag kar
samjhā use phūloñ kī navāzish dil-e-sāda
jo zaḳhm lagā nok-e-sar-e-ḳhār se lag kar
'ejāz' koī shauq nahīñ sair-e-jahāñ kā
ārām se baiThe haiñ dar-e-yār se lag kar
Top Urdushayar.com