shām-e-be-mehar meñ ik yaad kā jugnū chamkā
aur phir ek hī chehra thā ki har-sū chamkā
ai charāġh-e-nigah-e-yār maiñ jaañ se guzrā
ab mujhe kyā jo pa.e dil-zadagāñ to chamkā
roz milte the to be-rañg thā terā milnā
duur rahne se tire qurb kā jaadū chamkā
dil meñ phir bujhne lagā zabt kā taarā koī
phir mirī nok-e-mizha par koī aañsū chamkā
tāj-e-ḳhusrav kī chamak maañd paḌī jaatī hai
shahr ke kūcha-o-bāzār meñ lohū chamkā
kho gayā hai unhī tārīk ḳhalāoñ meñ kahīñ
vo bhī kyā chāñd thā jis se mirā pahlū chamkā
maiñ ne jaanā ki 'farāsat' koī ġham-ḳhvār aayā
aks-e-mahtāb kuchh is tarah lab-e-jū chamkā