Farasat Rizwi

malbus-e-ghubar yaad rakhna

Farasat Rizwi

1945
malbūs-e-ġhubār yaad rakhnā
ye rāhguzār yaad rakhnā
ik shām-e-ḳhizāñ yahīñ kahīñ hai
ai sub.h-e-bahār yaad rakhnā
ham kashtī-e-ishq ke musāfir
utre nahīñ paar yaad rakhnā
ai zaḳhma-varān-e-barbat-e-dil
TuuTe hue taar yaad rakhnā
patjhaḌ kī havā.eñ chīḳhtī haiñ
kyā saut-e-hazār yaad rakhnā
ham jaate haiñ bār-e-ġham uThā.e
ai shahr-e-nigār yaad rakhnā
ibrat kā maqām hai ye duniyā
vīrān dayār yaad rakhnā
ai vādī-e-gul ko jaane vaale
rastoñ ke ye ḳhaar yaad rakhnā
miltī hai ġhamoñ se bhī basīrat
zaḳhmoñ kā shumār yaad rakhnā
bachpan ke makāñ kā naḳhl-e-hamrāz
ye haar siñghār yaad rakhnā
ye harf hai raushnī-e-fardā
harf sar-e-dār yaad rakhnā
shāyad maiñ ye ḳhvāb bhuul jā.ūñ
tum ai mire yaar yaad rakhnā
Top Urdushayar.com