pūchhe jo nishāñ koī anjān nikalte haiñ
ham rāh-guzāroñ se be-dhyān nikalte haiñ
dil taaza marāsim ke āġhāz se Dartā hai
milne se bichhaḌne ke imkān nikalte haiñ
kis samt ko jaate haiñ ai rāh-e-chaman āḳhir
lashkar gul-o-nik.hat ke har aan nikalte haiñ
ghar rahiye ki bāhar hai ik raqs balāoñ kā
is mausam-e-vahshat meñ nādān nikalte haiñ
tum ishq ke kūche meñ jaañ nazr to kar dekho
marne se bhī jiine ke unvān nikalte haiñ
is sāya-e-mizhgāñ meñ kuchh vaqt guzārā hai
ham par bhī un āñkhoñ ke ehsān nikalte haiñ
hastī kī ye zanjīreñ ye jism kī dīvāreñ
ham saath liye apnā zindān nikalte haiñ
ham dekhte rahte haiñ is pyaas ke sahrā se
kyā qāfila-e-abr-o-bārān nikalte haiñ
gul shāḳhoñ pe aate haiñ kis ālam-e-afsūñ se
kisī ġhaib kī vaadī se insān nikalte haiñ
ye ālam-e-hastī hai yā ḳhvāb kī bastī hai
jis samt chale jaa.eñ hairān nikalte haiñ
buniyād-e-ta.alluq hai ik vahm-e-shanāsā.ī
socho to sabhī chehre anjān nikalte haiñ
kis vaqt nahīñ rahtī āñkhoñ meñ vo mauj-e-ḳhūñ
kab dil se tire ġham ke paikān nikalte haiñ
jis harf ke likhne meñ ho dil kā lahū shāmil
us harf se fardā ke ruj.hān nikalte haiñ
hai harf-e-suḳhan apnā bas apnī hī ḳhalvat meñ
bāzār meñ yāroñ ke dīvān nikalte haiñ
duniyā kī mohabbat kā saudā na kabhī karnā
is saude ke āḳhir meñ nuqsān nikalte haiñ
lo sub.h-e-adam aa.ī ab hijr kī saa.at hai
shab-bhar kī sarā.e se mehmān nikalte haiñ