jinheñ mahfiloñ se ġharaz na thī vo jo qaid apne gharoñ meñ the
vahī e.atibār-e-zamāna the vahī log dīda-varoñ meñ the
hue haath ab to lahū lahū sar-e-chashm añdherā hai chār-sū
kabhī ham bhī ā.ina-sāz the kabhī ham bhī shīsha-garoñ meñ the
chalī shahr meñ vo havā-e-zar ki ġhubār ban ke ga.e bikhar
vo jo ḳhvāb āñkhoñ meñ the makīñ vo junūñ jo apne saroñ meñ the
mire muhsinoñ meñ haiñ shahr ke ye tavīl-o-āshnā rāste
kahīñ aur jaa.e amaañ na thī ki ġhanīm-e-jāñ to gharoñ meñ the
vahī jin kī teġh se ban gayā mirā shahr maqtal-e-ḳhūñ-fishāñ
sar-e-ām dīda-e-nam liye vahī log nauhagaroñ meñ the
ik udaas bastī meñ vaqt-e-shab maiñ gayā to aise makāñ the sab
na to khiḌkiyoñ meñ the māh-rū na charāġh un ke daroñ meñ the
sar-e-shām duur fazāoñ meñ ye jo aa.ine se chamak uThe
yahī Dhaltī dhuup ke rañg the ki jo tā.eroñ ke paroñ meñ the