tamām jism hī ghāyal thā ghaav aisā thā
koī na jaan sakā rakh-rakhāo kaisā thā
bas ik kahānī huī ye paḌāv aisā thā
mirī chitā kā bhī manzar alaav aisā thā
vo ham ko dekhtā rahtā thā ham taraste the
hamārī chhat se vahāñ tak dikhāv aisā thā
kuchh aisī sāñseñ bhī lenā paḌīñ jo bojhal thiiñ
havā kā chāroñ taraf se dabāv aisā thā
ḳharīdte to ḳharīdār ḳhud bhī bik jaate
tape hue khare sone kā bhaav aisā thā
haiñ dā.ere meñ qadam ye na ho sakā mahsūs
rah-e-hayāt meñ yaaro ghumāo aisā thā
koī Thahar na sakā maut ke samundar tak
hayāt aisī nadī thī bahāv aisā thā
bas us kī maañg meñ sindūr bhar ke lauT aa.e
hamāre agle janam kā chunāv aisā thā
phir is ke ba.ad jhuke to jhuke ḳhudā kī taraf
tumhārī samt hamārā jhukāv aisā thā
vo jis kā ḳhuun thā vo bhī shanāḳht kar na sakā
hatheliyoñ pe lahū kā rachāv aisā thā
zabāñ se kuchh na kahūñgā ġhazal ye hāzir hai
dimāġh meñ ka.ī din se tanāv aisā thā
fareb de hī gayā 'nūr' us nazar kā ḳhulūs
fareb khā hī gayā maiñ subhāv aisā thā