kisī tarah bhī kisī se na dil lagānā thā
ḳhayāl-e-yār meñ duniyā ko bhuul jaanā thā
jo be-ruḳhī thī yahī ruḳh nahīñ chhupānā thā
mire ḳhayāl meñ bhī aap ko na aanā thā
isī sabab se vo parde meñ chhup ke baiThe haiñ
ki parde parde meñ kuchh un ko rañg laanā thā
azal se ruuh jo phūñkī ga.ī hai zarroñ meñ
to ye samajh lo ki jalva use dikhānā thā
zamāna khiñch ke pahuñchtā hai apne markaz par
zarūr dā.era-e-zindagī meñ aanā thā