dam-ba-dam taġhayyur ke rañg haiñ zamāne meñ
kuchh kamī nahīñ aatī dard ke ḳhazāne meñ
ġhair kī shikāyat kyā shauq-e-lazzat-e-ġham se
maiñ bhī ho gayā shāmil apnā dil dukhāne meñ
mere chaar jānib the ḳhār-zār nafrat ke
umr kaT ga.ī merī rāsta banāne meñ
vaqt ne un āñkhoñ ke ḳhvāb hī badal Daale
der ho ga.ī tujh ko mere paas aane meñ
chīḳhte the ham-sā.e ik ajiib lazzat thī
dhuup meñ khaḌe ho kar aa.ina dikhāne meñ
tā.eroñ ko aisī bhī kyā thī ujlat-e-parvāz
bhuul kar chale aa.e ḳhvāb āshiyāne meñ
thī havā bhī shorīda haath bhī the larzīda
uñgliyāñ jalā Dālīñ ik diyā jalāne meñ
daam aur qafas Thahre qissa-hā-e-pārīna
qaid kar diyā us ne mujh ko āb-o-dāne meñ
bām-o-dar 'farāsat' ab kyā hameñ ḳhushī deñge
zindagī basar kar dī ġham ke shāmiyāne meñ