Farasat Rizwi

un aankhon ka mujhse koi wada to nahin hai

Farasat Rizwi

1945
un āñkhoñ kā mujh se koī va.ada to nahīñ hai
thoḌī sī mohabbat hai ziyāda to nahīñ hai
uslūb-e-nazar se mirā mafhūm na samjhe
vo yaar mirā itnā bhī saada to nahīñ hai
āġhāz jo kī maiñ ne na.ī ek mohabbat
ye pichhlī mohabbat kā i.aada to nahīñ hai
siine meñ bujhā jaatā hai dil merā sar-e-shām
is ġham kā ilaaj ātish-e-bāda to nahīñ hai
phir se tirī āñkhoñ meñ sivā rang-e-mohabbat
phir tark-e-mohabbat kā irāda to nahīñ hai
parvāz ke sab ḳhvāb yahīñ rakkhe haiñ maiñ ne
go kunj-e-qafas itnā kushāda to nahīñ hai
ḳhānoñ meñ bhaTaktā nazar aayā mujhe insān
shatranj zamāna kā piyāda to nahīñ hai
jaate haiñ kahīñ aur pahuñchte haiñ kahīñ aur
ik aur bhī jaada pas-e-jāda to nahīñ hai
Top Urdushayar.com