Farasat Rizwi

mizha pe ashk-e-alam jhilmilae aaKHir-e-shab

Farasat Rizwi

1945
mizha pe ashk-e-alam jhilmilā.e āḳhir-e-shab
bichhaḌne vaale bahut yaad aa.e āḳhir-e-shab
vo jin ke qurb se Dhāras thī mere dil ko bahut
koī kahīñ se unheñ DhūñD laa.e āḳhir-e-shab
ye shor-e-bād-e-zamistāñ ye rāsta sunsān
Darā rahe hai daraḳhtoñ ke saa.e āḳhir-e-shab
havā meñ dard kī shiddat se zamzama-pairā
sunegā kaun ye merī sadā-e-āḳhir-e-shab
ravāna hone ko hai kārvāñ sitāroñ kā
phir us ke ba.ad kahāñ naqsh-e-pā-e-āḳhir-e-shab
kidhar chalī hai nigār-e-falak kise ma.alūm
ye tasht-e-māh-o-sitāra uThā.e āḳhir-e-shab
vo terī yaad ke mehmān ho ga.e ruḳhsat
ujaḌ ga.ī mire dil kī sarā.e āḳhir-e-shab
phir us ke ba.ad vahī dhuup hai mashaqqat kī
zarā sī der ko hai ḳhvābnā.e āḳhir-e-shab
nasīb ho saf-e-ā.indagāñ ko taaza sahar
mire laboñ pe yahī hai duā-e-āḳhir-e-shab
vo so ga.e haiñ jinheñ jāgne kī aadat thī
kise pukār rahī hai havā-e-āḳhir-e-shab
'farāsat' ab huī mahfil tamām ghar ko chalo
sarak rahī hai falak par ridā-e-āḳhir-e-shab
Top Urdushayar.com