ham ne dil us ke ta.iiñ nazr guzārā apnā
us ne samjhā na sar-e-bazm ishārā apnā
kyā pukārūñ ki sadā bhī na vahāñ jā.egī
jaane kis des gayā yaar vo pyārā apnā
le gayā duur use ḳhvāb-e-adam kā afsūñ
niiñd se phir na uThā anjuman-ārā apnā
umr ke saath judā hote chale jā.eñge yaar
kam nahīñ hogā kisī taur ḳhasārā apnā
lauT kar aa.e to bastī hai na tālāb na baaġh
ham yahīñ chhoḌ ga.e the vo nazārā apnā
shaam hote hī bhaTakte the use dekhne ko
usī tārīk galī meñ thā sitārā apnā
ġham hue aise ki aatā hī nahīñ koī javāb
naam le le ke bahut ham ne pukārā apnā
ye jo galiyāñ haiñ mire shahr kī haiñ merī rafīq
unhī galiyoñ meñ bahut vaqt guzārā apnā
ham vo bīmār-e-anā haiñ ki hue jis se ḳhafā
us ko chehra bhī dikhāyā na dobārā apnā
bārhā pesh huā ḳhil.at-e-shāhī ham ko
ham ne malbūs-e-gadā.ī na utārā apnā
kyā ḳhabar ban ga.ī kis tarah ġhazal kī sūrat
ham ne to dard hī kāġhaz pe utārā apnā
yā-alī kahne se haT jaate haiñ raste se pahāḌ
ik yahī naam hai mushkil meñ sahārā apnā