khel thā apnī anā kā ishq use samjhā kiyā
maiñ ne apne aap se kitnā baḌā dhokā kiyā
umr-bhar kā ham-nafas ik pal meñ ruḳhsat ho gayā
aur maiñ ḳhāmosh use jaate hue dekhā kiyā
ik zarā sī baat par rūThā rahā vo der tak
muskurā ke ḳhud hī phir merī taraf chehrā kiyā
fikr kī lazzat ke baa.is haiñ mirī nākāmiyāñ
sab amal karte rahe aur maiñ faqat sochā kiyā
zaḳhm kī ik aag thī jis se suḳhan raushan rakhā
dard kī ik lahar thī maiñ ne jise naġhma kiyā
sab hī kuchh us se na kahnā thā jo tere dil meñ thā
shiddat-e-iz.hār meñ tū ne 'farāsat' kyā kiyā