Farasat Rizwi

mujhe zindagi ne diya kuchh nahin

Farasat Rizwi

1945
mujhe zindagī ne diyā kuchh nahīñ
magar mujh ko us kā gilā kuchh nahīñ
ḳhayāloñ ke ḳhanjar bahut tez haiñ
vahī ḳhush hai jo sochtā kuchh nahīñ
bahut ḳhūb-rū thā mirā ham-suḳhan
use dekhne meñ sunā kuchh nahīñ
bas ik pal kī dīvār hai darmiyāñ
adam se mirā fāsla kuchh nahīñ
vo gul nazr-e-ḳhāk-e-ḳhizāñ ho ga.e
ḳhabar tujh ko bād-e-sabā kuchh nahīñ
ye hañgāma-e-ālam-e-āb-o-gil
ba-juz ek shor-e-fanā kuchh nahīñ
vahī hijr hai aur vahī vasl hai
mirā tajraba bhī nayā kuchh nahīñ
tavālat mirī guftugū meñ jo thī
mire paas kahne ko thā kuchh nahīñ
'farāsat' vahī be-hisī hai yahāñ
tire girye se to huā kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com