mohabbatoñ kā chaman pā.emāl ham ne kiyā
ḳhud apne aap kā jiinā muhāl ham ne kiyā
jo lazzateñ haiñ dukhoñ meñ masarratoñ meñ kahāñ
milā uruuj to us ko zavāl ham ne kiyā
na kār-e-dil ke the laa.eq na kār-e-duniyā ke
jo kuchh kiyā to ġham-e-māh-o-sāl ham ne kiyā
hazār dard ke mausam guzar ga.e lekin
kabhī darāz na dast-e-savāl ham ne kiyā
ye ramz-e-ishq ye nāzuk kinā.e ham ne sikhā.e
nigāh-e-nāz tujhe be-misāl ham ne kiyā
diye tarāsh liye yaas ke añdheroñ se
ġham-e-firāq ko ḳhvāb-e-visāl ham ne kiyā
suḳhan se rañg gayā zindagī se ḳhvāb ga.e
ye zaḳhm hijr kā kyuuñ indimāl ham ne kiyā
huī hai aaj tabī.at suḳhan pe phir maa.il
so mauj-e-dard ko dil meñ bahāl ham ne kiyā