Bismil Allahabadi

ye kaisi aag abhi ai shama tere dil mein baqi hai

Bismil Allahabadi

ye kaisī aag abhī ai sham.a tere dil meñ baaqī hai
koī parvāna jal marne ko kyā mahfil meñ baaqī hai
hazāroñ uTh ga.e duniyā se apnī jaan de de kar
magar ik bhiiḌ phir bhī kūcha-e-qātil meñ baaqī hai
hue vo mutma.in kyuuñ sirf mere dam nikalne par
abhī to ek duniyā-e-tamannā dil meñ baaqī hai
huā thā ġharq bahr-e-ishq is andāz se koī
ki naqsha Dūbne kā dīda-e-sāhil meñ baaqī hai
qazā se koī ye kah de ki mushtāq-e-shahādat huuñ
abhī ik marne vaalā kūcha-e-qātil meñ baaqī hai
kahāñ fursat hujūm-e-rañj-o-ġham se ham jo ye jāñcheñ
ki niklī kyā tamannā kyā tamannā dil meñ baaqī hai
abhī se apnā dil thāme hue kyuuñ log baiThe haiñ
abhī to hashr uThne ko tirī mahfil meñ baaqī hai
vahāñ the jam.a jitne marne vaale mar ga.e vo sab
qazā le-de ke bas ab kūcha-e-qātil meñ baaqī hai
abhī se tū ne qātil myaan meñ talvār kyuuñ rakh lī
abhī to jaan thoḌī sī tan-e-'bismil' meñ baaqī hai
Top Urdushayar.com