Farasat Rizwi

koi rahzan na musafir na shajar ki surat

Farasat Rizwi

1945
koī rahzan na musāfir na shajar kī sūrat
dekh is ujḌī huī rāhguzar kī sūrat
jaane kab ḳhāna-badoshī ke ye din guzreñge
muddateñ ho ga.iiñ dekhe hue ghar kī sūrat
pahle dukh thā ki sar-e-rāhguzar baiThe haiñ
ab koī rañj nahīñ ranj-e-safar kī sūrat
apne hī aks se fursat nahīñ miltī varna
aa.ine meñ hai kahīñ ā.ina-gar kī sūrat
itne pāyāb nahīñ hai ki har ik ko mil jaa.eñ
ham to rahte haiñ samundar meñ guhar kī sūrat
aaj āñkhoñ meñ namī hai to ġhanīmat jaano
qaht-e-girya meñ kahāñ dīda-e-tar kī sūrat
beach raste meñ hameñ chhoḌ ke jaane vaale
saath hoñ leñge tire gard-e-safar kī sūrat
chashm-e-ibrat se 'farāsat' meñ use dekhtā huuñ
kal ye vīrāna thā ābād nagar kī sūrat
Top Urdushayar.com