sard havā hai nauhagar raat bahut guzar ga.ī
ġhaur se dekh chashm-e-tar raat bahut guzar ga.ī
niiñd meñ gum haiñ dasht-o-bāġh bujh ga.e shahr ke charāġh
aise meñ jā.ūñ maiñ kidhar raat bahut guzar ga.ī
ab to simaT rahe haiñ saa.e lauT ke vo javāñ na aa.e
dil meñ ajiib sā hai Dar raat bahut guzar ga.ī
guuñj rahī hai duur tak apne hī qadmoñ kī sadā
suunī paḌī hai rahguzar raat bahut guzar ga.ī
jashn-e-tarab huā tamām kushtā-charāġh-o-sāz-o-jām
bikhre paḌe haiñ farsh par raat bahut guzar ga.ī
mahfil-e-dostāñ se kab uThne ko chāhtā hai dil
soch rahā huuñ jā.ūñ ghar raat bahut guzar ga.ī
jaagā na ek shaḳhs bhī merī nava-e-dard se
naale ga.e haiñ be-asar raat bahut guzar ga.ī
dil meñ mire utar ga.ī sahn-e-makāñ kī tīrgī
bujh ga.ī sham.a taaq par raat bahut guzar ga.ī
ḳhauf ke saa.e chār-sū ai mire yaar māh-rū
aaj yahīñ qayām kar raat bahut guzar ga.ī
so ga.e ghar ke sab makīñ par mire intizār meñ
jaag rahe haiñ bām-o-dar raat bahut guzar ga.ī
ghar kī muñDer se ga.ī chāñd kī zard raushnī
duur nahīñ hai ab sahar raat bahut guzar ga.ī