Farasat Rizwi

asir-e-bazm hun KHalwat ki justuju mein hun

Farasat Rizwi

1945
asīr-e-bazm huuñ ḳhalvat kī justujū meñ huuñ
maiñ apne aap se milne kī aarzū meñ huuñ
mirī sarisht meñ rañg-e-bahār hai lekin
bahut dinoñ se kisī bāġh-e-be-numū meñ huuñ
to mujh ko bhuul gayā hai magar mire mutrib
maiñ dard ban ke tire naġhma-e-gulū meñ huuñ
ḳhizāñ-rasīda kisī naḳhl-e-nīm-jāñ ke tale
mujhe bhī dekh usī shām-e-zard-rū meñ huuñ
bhaTaktā rahtā huuñ shām-o-sahar nahīñ ma.alūm
maiñ kisī talāsh meñ huuñ kis kī justujū meñ huuñ
vo jis ke tarz-e-masīhā.ī par hai shahr nisār
usī kī teġh se Duubā huā lahū meñ huuñ
maiñ ek ātish-e-ḳhvāb-āfrīda kī sūrat
kabhī charāġh kī lau meñ kabhī subū meñ huuñ
tū mere lafzoñ se bāhar mujhe talāsh na kar
chhupā huā maiñ kahīñ apnī guftugū meñ huuñ
pukārtā huuñ madad ko koī nahīñ aatā
sitam kī shaam hai aur narġha-e-adū meñ huuñ
Top Urdushayar.com