Farasat Rizwi

falak pe chand hai aur pas ek sitara hai

Farasat Rizwi

1945
falak pe chāñd hai aur paas ik sitāra hai
ye terī merī mohabbat kā isti.āra hai
shab-o-sahar ke tasalsul meñ ye tulū-o-ġhurūb
samajhne vāloñ ko ik dukh-bharā ishāra hai
ye tere sozan-e-mizhgāñ ke bas kī baat nahīñ
yahāñ to pairahan-e-jāñ hī pāra-pāra hai
faqat karishma-e-tarz-e-nazar hai sūd-o-ziyāñ
kisī kā naf.a kisī ke liye ḳhasāra hai
vo jis ne mujh ko kahīñ kā nahīñ rakhā ik umr
vahī ḳhayāl vahī aarzū dobāra hai
na.ī jagah mujhe mānūs sī lagī to khulā
ye koī ḳhvāb meñ dekhā huā nazāra hai
yahāñ se jo bhī gayā lauT kar nahīñ aayā
batā.e kaun kahāñ dūsrā kināra hai
Top Urdushayar.com