Farasat Rizwi

dekhte jate hain namnak hue jate hain

Farasat Rizwi

1945
dekhte jaate haiñ namnāk hue jaate haiñ
kyā gulistāñ ḳhas-o-ḳhāshāk hue jaate haiñ
ek ik kar ke vo ġham-ḳhvār sitāre mere
ġham sar-e-vus.at-e-aflāk hue jaate haiñ
ḳhush nahīñ aayā ḳhizāñ ko mirā uryāñ honā
zard patte mirī poshāk hue jaate haiñ
dekh kar qarya-e-vīrāñ meñ zamistāñ kā chāñd
shaam ke saa.e alam-nāk hue jaate haiñ
zulm sab ahl-e-zamīñ par haiñ zamīñ vāloñ ke
ham abas dushman-e-aflāk hue jaate haiñ
dīda-e-tar se mayassar thā hameñ dil kā gudāz
qaht-e-giryā hai to saffāk hue jaate haiñ
kūza-gar ne hameñ miTTī se kiyā thā taḳhlīq
kyā ta.ajjub hai agar ḳhaak hue jaate haiñ
kaisī ibrat hai ki is kashmakash-e-rizq meñ ham
apne hī rizq kī ḳhūrāk hue jaate haiñ
Top Urdushayar.com