ga.e dinoñ kā havāla thā kaam kyā detā
guzar gayā vo javāb-e-salām kyā detā
dayār-e-shab se bhī aage mirā safar thā bahut
so merā saath vo māh-e-tamām kyā detā
maiñ is ḳharāba-e-dil ke ujaaḌ manzar meñ
kisī ko dāvat-e-sair-o-qayām kyā detā
jo tū na aatā to rañg-e-fasurdagī ke sivā
mirī nigāh ko ye husn-e-shām kyā detā
shikasta-pā.ī pe jab mutma.in the rāhravāñ
maiñ qāfile ko duā-e-ḳhirām kyā detā
mujhe ḳhabar hai sarisht-e-sifāl meñ hai zavāl
maiñ apne dil ko fareb-e-davām kyā detā
maiñ kūza-gar kī dukāñ par rakhā rahā tā-umr
koī charāġh-e-shikasta ke daam kyā detā
usī se mujh ko mohabbat usī se nafrat bhī
maiñ us ta.alluq-e-ḳhātir ko naam kyā detā
ye shahr ho gayā ḳhālī suḳhan-shanāsoñ se
yahāñ koī mujhe dād-e-kalām kyā detā