vo din jo biit gayā phir kisī ne paayā nahīñ
kabhī kamāñ se koī tiir jā ke aayā nahīñ
Thahar gayā hai sar-e-markaz-e-falak sūraj
ye vaqt vo hai ki dīvār meñ bhī saayā nahīñ
ye be-dilī-e-musalsal ye rañj-e-nā-mālūm
tujhe bhulā ke bhī ham ne tujhe bhulāyā nahīñ
asīr-e-bazm is āvārgī ko kam na samajh
jo apne saath guzārā vo din gañvāyā nahīñ
bichhaḌne se bhī sivā hai ye ġham ki shām-e-firāq
koī sitāra in āñkhoñ meñ jhilmilāyā nahīñ
bas apnā naam vo kāġhaz pe likh ke chhoḌ gayā
maiñ so rahā thā to us ne mujhe jagāyā nahīñ
maiñ apne ahd kī takmīl tujh se kyā kartā
ki maiñ ne ḳhud se bhī va.ada koī nibhāyā nahīñ
'farāsat' ek to kam-himmatī mujhī meñ thī
phir us nazar ne bhī kuchh hausla baḌhāyā nahīñ