Farasat Rizwi

sham Dhale us bazm-e-tarab mein mera jaana KHub hua

Farasat Rizwi

1945
shaam Dhale us bazm-e-tarab meñ merā jaanā ḳhuub huā
mujh ko achānak sāmne pā kar vo kitnā mahjūb huā
dasht-e-sitam meñ kitnī salībeñ istāda thiiñ chār-taraf
shaah ke haath pe bai.at kar lī koī na yaañ maslūb huā
rusvā.ī ke saa.e hamesha pīchhā karte rahte haiñ
mujh se gurezāñ ho kar bhī vo mujh se hī mansūb huā
kūcha-e-yār meñ jaanā ho to tark-e-anā hai pahlā qadam
ishq kisī se kyā kartā vo jo apnā mahbūb huā
ujḌī jab se mahfil-e-yārāñ taur badal ga.e jiine ke
zaḳhm mirā pairāhan Thahrā dard mirā uslūb huā
ahd-e-nau kī ījādoñ se lazzat-e-nāma-barī bhī ga.ī
shīshe par kuchh harf likhe haiñ ye kaisā maktūb huā
apne aib pe chashm-e-zamāna mushkil hī se jaatī hai
be-chehra the dekhne vaale ā.īna ma.atūb huā
rah ga.e kuchh yādoñ ke saa.e kuchh lafzoñ kī raushaniyāñ
āḳhir merī umr kā sūraj Dhalte Dhalte ġhurūb huā
Top Urdushayar.com