Farasat Rizwi

ye ashk aankh mein kis justuju ke sath aae

Farasat Rizwi

1945
ye ashk aañkh meñ kis justujū ke saath aa.e
ki tere zikr tirī guftugū ke saath aa.e
maiñ ek naḳhl thā yak-rañgī ḳhizāñ kā asiir
ye saare rañg tirī aarzū ke saath aa.e
jo kho ga.e the kahīñ umr ke dhuñdlakoñ meñ
vo aks phir kisī ā.īna-rū ke saath aa.e
faroġh-e-nashā-e-mai se bhī jī bahal na sakā
bahut se ġham the jo mauj-e-subū ke saath aa.e
gilā na kar jo sar-e-shahr jū-e-ḳhūñ hai ravāñ
ki inqalāb jab aa.e lahū ke saath aa.e
ga.e to sirf matā-e-sukūt le ke ga.e
jo is nagar meñ baḌī hāv-hū ke saath aa.e
'farāsat' ahl-e-jahāñ ham-safar haiñ ḳhushiyoñ ke
maqām-e-rañj talak kab kasū ke saath aa.e
Top Urdushayar.com