maiñ duur ho ke bhī us se judā nahīñ hotā
hamāre biich koī fāsla nahīñ hotā
baġhair us ke ho ehsās-e-zindagī kā safar
ye sochtā to huuñ par hausla nahīñ hotā
vo is tarah se mirī zindagī kā hissa hai
is ek his kā badal dūsrā nahīñ hotā
kiyā hai gardish-e-hālāt ne mujhe majbūr
vagarna zarf chhalaktā sadā nahīñ hotā
ye sab hai sehr usī nargisī nigāhī kā
mujhe thā faḳhr kabhī ki nasha nahīñ hotā
na jama.a karte jo lakḌī siyāsatoñ ke giroh
dhuāñ to shahr se hargiz uThā nahīñ hotā