taraqqī kā vo da.avā kar rahā hai
magar har shaḳhs faaqa kar rahā hai
vo dekhe hai makānāt-e-bulandī
vo ujḌe ghar se parda kar rahā hai
mafād-e-avvaliyyat chāhne meñ
vo insānoñ kā saudā kar rahā hai
barābar meñ kamī beshī ko rakh kar
taraqqī kā irāda kar rahā hai
duhā.ī de ke vo jamhūriyat kī
nizām-e-ḳhvāb rusvā kar rahā hai
hue hukkām ab saare luTere
dil-e-hālāt naala kar rahā hai