Bismil Allahabadi

saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai

Bismil Allahabadi

sāz-e-hastī kā ajab josh nazar aatā hai
ik zamāna hama-tan-gosh nazar aatā hai
hasrat-e-jalva-e-dīdār ho puurī kyūñkar
vo tasavvur meñ bhī rū-posh nazar aatā hai
dekhte jaao zarā shahr-e-ḳhamoshāñ kā samāñ
ki zamāna yahāñ ḳhāmosh nazar aatā hai
aap ke nashtar-e-mizhgāñ ko chubho letā huuñ
ḳhūn-e-dil meñ jo kabhī josh nazar aatā hai
aap hī sirf jafā-kosh nazar aate haiñ
saarā aalam to vafā-kosh nazar aatā hai
mausam-e-gul na rahā dil na rahā jī na rahā
phir bhī vahshat kā vahī josh nazar aatā hai
shāna-e-yār pe bikhrī to nahīñ zulf-e-darāz
har koī ḳhānumāñ bar-dosh nazar aatā hai
jalva-e-qudrat-e-bārī kā muamma na khulā
rū-ba-rū rah ke bhī rū-posh nazar aatā hai
phir zarā ḳhanjar-e-qātil ko ḳhabar de koī
ḳhūn-e-'bismil' meñ vahī josh nazar aatā hai
Top Urdushayar.com