kuchh ehtimām safar kā zarūr karnā hai
ki us ke shahr se ho kar mujhe guzarnā hai
maiñ chup nahīñ huuñ kisī maslahat ke pesh-e-nazar
maiñ jāntā huuñ kahāñ iḳhtilāf karnā hai
hamāre jism se patthar bañdhe hue haiñ magar
samundaroñ kī tahoñ se hameñ ubharnā hai
phisal rahī hai javānī kī ret muTThī se
guzar rahe haiñ mire din inheñ guzarnā hai
ye kā.enāt kī tasvīr nā-mukammal hai
abhī to is meñ bahut rañg us ne bharnā hai
mirā mizāj nahīñ hai magar mujhe 'faizān'
kisī ke vāste ik ahd se mukarnā hai