zulm kī raah meñ dīvār huā karte the
ham kabhī azm ke kohsār huā karte the
shahr sunsān hai un chāñd se chehroñ ke baġhair
jo darīchoñ se numūdār huā karte the
mujh se mil kar haiñ ajab ālam-e-hairānī meñ
jo mire fan ke parastār huā karte the
zindagī kis qadar āsān huā kartī thī
log jab sāhab-e-kirdār huā karte the
us kī zulfoñ meñ chamakte the sitāre har pal
har ghaḌī raat ke āsār huā karte the
ab vahāñ fasl imārāt kī ug aa.ī hai
jab jagah par ghane ashjār huā karte the
terī palkoñ ke ishāre ko samajh jaate the
ham kabhī itne samajhdār huā karte the
terī tasvīr nigāhoñ meñ sajī rahtī thī
ham to sote meñ bhī bedār huā karte the
tujh ko ab yaad nahīñ hai ki tirī ḳhātir ham
kaise rusvā sar-e-bāzār huā karte the
jaane kis haal meñ hogī vo mirī jān-e-hayāt
jis kī ḳhātir mire ash.ār huā karte the
jā chuke ab vo zamāne ki mire shahr ke log
ishq meñ tere giraftār huā karte the
be-ḳhabar ho ke zamāne ke har ik kaam se ham
tere baare meñ ḳhabar-dār huā karte the
ab use paane kī ḳhvāhish bhī nahīñ hai 'faizān'
ham kabhī jis ke talabgār huā karte the