Faizan Arif

mere guman ki had se nikalne wala tha

Faizan Arif

1967
mire gumān kī had se nikalne vaalā thā
vo mujh se pahle hī rasta badalne vaalā thā
tujhe hī jaane kī ujlat thī ai musāfir-e-man
vagarna maiñ bhī tire saath chalne vaalā thā
jahāñ pe qāfila-e-sālār thak ke baiTh gayā
vahīñ se ik nayā rasta nikalne vaalā thā
nahīñ thī mujh ko zarūrat kisī sahāre kī
ki maiñ to aap hī gir kar sambhalne vaalā thā
maiñ lauT aayā samundar se Dar ke jab 'faizān'
usī ghaḌī vo ḳhazāna ugalne vaalā thā
Top Urdushayar.com