hāl-e-dil sirf tumheñ ham ne sunāne ke liye
kitne alfāz likhe saare zamāne ke liye
khol rakkhe haiñ darīche isī ummīd ke saath
lauT aa.egī havā diip jalāne ke liye
us kā milnā hī muqaddar meñ nahīñ thā varna
ham ne kyā kuchh nahīñ khoyā use paane ke liye
jaane kab aa.egā vo merī mohabbat kā safīr
mere har ḳhvāb kī ta.abīr batāne ke liye
āñdhiyāñ barsar-e-paikār nazar aatī haiñ
merī ḳhvāhish ke charāġhoñ ko bujhāne ke liye
phuul se log baḌī duur se aa.e 'faizān'
taaj kāñToñ kā mire sar pe sajāne ke liye