añdhere laakh chhā jaa.eñ ujālā kam nahīñ hotā
charāġh-e-ārzū jal kar kabhī maddham nahīñ hotā
masīhā vo na hoñ to dard-e-ulfat kam nahīñ hotā
ye zaḳhm-e-ishq hai is zaḳhm kā marham nahīñ hotā
ġham-e-jānāñ ko jān-e-jāñ banā le dekh dīvāne
ġham-e-jānāñ se baḌh kar aur koī ġham nahīñ hotā
talab ban kar mirī har dam vo mere saath rahte haiñ
kabhī tanhā mirī tanhā.ī kā aalam nahīñ hotā
tumhārā āstāna chhoḌ kar āḳhir kahāñ jā.ūñ
diyā hai dard-e-dil tum ne vo dil se kam nahīñ hotā
mirā tan-man jalā kar tū ne zālim ḳhaak kar Daalā
magar ai soz-e-ulfat terā sho.ala kam nahīñ hotā
tere dar se mujhe itnī mohabbat ho ga.ī jānāñ
tire dar ke alāva sar kahīñ bhī ḳham nahīñ hotā
badaltī hī nahīñ qismat mohabbat karne vāloñ kī
tasavvur yaar kā jab tak 'fanā' paiham nahīñ hotā
samajh liije ki jazb-e-dil meñ hai koī kamī baaqī
agar dīdār un kā ishq meñ har dam nahīñ hotā