Fana bulandshahri

KHabar hi nahin kaise angDai le kar nigahen uThae ki saghar uThae

Fana bulandshahri

ḳhabar hī nahīñ kaise añgḌā.ī le kar nigāheñ uThā.e ki sāġhar uThā.e
kuchh aisā nasha chhā gayā zindagī par sambhalte sambhalte qadam Dagmagā.e
bane husn vaale sarāpā qayāmat javānī jab aa.ī to andāz aa.e
girā.ī kabhī shoḳh nazroñ se bijlī kabhī sharm aa.ī kabhī muskurā.e
koī jā ke mere masīhā se kah de ḳhudā ke liye aag dil kī bujhā de
mohabbat ke sho.ale bhaḌakne lage haiñ kahīñ ḳhirman-e-zindagī jal na jaa.e
ho un kā dīdār qismat se jab bhī adā ho ga.ī hai namāz-e-mohabbat
nikal aa.e jab bhī vo parde se bāhar nigāhoñ ne jhuk jhuk ke sajde sunā.e
sunā.e kise apnī ġham kī kahānī kidhar jaa.e vo terī mahfil se uTh kar
nazar ne tirī jis kā dil le liyā ho vo qismat kā maarā kahāñ chain paa.e
chaman vaale achchhī tarah jānte haiñ chaman meñ jo qurbāniyāñ ham ne dī haiñ
chaman se añdhere miTāne kī ḳhātir nasheman banā.e nasheman jalā.e
na saaqī na botal na hai raqs-e-sāġhar udāsī hai chhā.ī huī anjuman par
fanā-sāzoñ dil se ġhazal aisī chheḌo 'fanā' naach uThe zindagī jhuum jaa.e
Top Urdushayar.com