jo miTā hai tere jamāl par vo har ek ġham se guzar gayā
huiiñ jis pe terī navāzisheñ vo bahār ban ke sañvar gayā
tirī mast aañkh ne ai sanam mujhe kyā nazar se pilā diyā
ki sharāb-ḳhāne ujaḌ ga.e jo nasha chaḌhā thā utar gayā
tirā ishq hai mirī zindagī tire husn pe maiñ nisār huuñ
tirā rañg aañkh meñ bas gayā tirā nuur dil meñ utar gayā
ki ḳhirad kī fitnagarī vahī luTe hosh chhā ga.ī be-ḳhudī
vo nigāh-e-mast jahāñ uThī mirā jām-e-zindagī bhar gayā
dar-e-yār tū bhī ajiib hai hai ajiib terā ḳhayāl bhī
rahī ḳham jabīn-e-niyāz bhī mujhe be-niyāz bhī kar gayā
tire diid se ai sanam chaman ārzuoñ kā mahak uThā
tire husn kī jo havā chalī to junūñ kā rañg nikhar gayā
mujhe sab ḳhabar hai mire sanam ki rah-e-'fanā' meñ hayāt hai
use mil ga.ī na.ī zindagī tire āstāñ pe jo mar gayā