Fana bulandshahri

jalwa jo tere ruKH ka ehsas mein Dhal jae

Fana bulandshahri

jalva jo tire ruḳh kā ehsās meñ Dhal jaa.e
is ālam-e-hastī kā aalam hī badal jaa.e
un mast nigāhoñ kā ik daur jo chal jaa.e
ham dard ke māroñ kī taqdīr badal jaa.e
masrūf-e-ibādat kā yuuñ ḳhatm ho afsāna
sar ho tirī chaukhaT pe dam merā nikal jaa.e
tū laakh bachā dāman dar se na uThūñgā maiñ
un meñ se nahīñ huuñ maiñ Taale se jo Tal jaa.e
ai jān-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de
aisā na ho dīvāna qadmoñ pe machal jaa.e
hasrat bharī āñkhoñ meñ ik pal ke liye aa jā
dekhe jo terī sūrat dīvāna bahal jaa.e
tū aag mohabbat kī bhar de mirī nas nas meñ
har zarra mire dil kā is aag meñ jal jaa.e
bijlī tire jalvoñ kī gir jaa.e kabhī mujh par
ai jaan mirī hastī is aag meñ jal jaa.e
ai chāragaro dekho bīmār-e-mohabbat huuñ
tadbīr karo aisī dil jis se bahal jaa.e
tū jazb-e-mohabbat meñ kar le vo asar paidā
jis samt nazar uTThe ik tiir sā chal jaa.e
pāmāl-e-rah-e-ulfat ho jā.ūñ mohabbat meñ
vo shoḳh agar mujh ko qadmoñ se masal jaa.e
taqdīr kare ehsāñ yuuñ ba.ad-e-'fanā' mujh par
ḳhāk-e-dar-e-jānāna muñh par mire mal jaa.e
Top Urdushayar.com