Fana bulandshahri

haram hai kya chiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai

Fana bulandshahri

haram hai kyā chiiz dair kyā hai kisī pe merī nazar nahīñ hai
maiñ tere jalvoñ meñ kho gayā huuñ mujhe ab apnī ḳhabar nahīñ hai
jinheñ hai Dar rāh-e-imtihāñ se unheñ abhī ye ḳhabar nahīñ hai
agar karam un kā rāhbar ho kaThin koī rahguzar nahīñ hai
ba-shauq-e-sajda chale haiñ lekin ajiib maslak hai āshiqoñ kā
vahāñ ibādat harām Thahrī jahāñ tirā sañg-e-dar nahīñ hai
tirī talab terī aarzū meñ nahīñ mujhe hosh zindagī kā
jhukā huuñ yuuñ tere āstāñ par ki mujh ko ehsās-e-sar nahīñ hai
tirī navāzish mirī masarrat mirī tabāhī jalāl terā
kahīñ nahīñ hai mirā Thikāna jo terī sīdhī nazar nahīñ hai
jahāñ bhī hai koī miTne vaalā tirī ināyat ke saa.e meñ hai
banā liyā jis ko tū ne apnā jahāñ meñ vo dar-ba-dar nahīñ hai
har ik jagah tū hī jalva-gar hai vo but-kada ho yā tūr-e-sīnā
nigāh-e-duniyā hai kor bātin tirī tajallī kidhar nahīñ hai
yahīñ pe jiinā yahīñ pe marnā yahīñ hai duniyā yahīñ hai uqbā
'fanā' dar-e-yār ke alāva kahīñ hamārā guzar nahīñ hai
Top Urdushayar.com