Fana bulandshahri

teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain

Fana bulandshahri

terī nazroñ pe tasadduq aaj ahl-e-hosh haiñ
jān-e-jāñ terī nigāheñ mai-kada-bar-dosh haiñ
ishq meñ ahl-e-vafā kitne aziyyat-kosh haiñ
ḳhuun dil kā ho rahā hai lab magar ḳhāmosh haiñ
ai nigāh-e-shauq kis manzil meñ le aa.ī mujhe
donoñ aalam jalva-gāh-e-yār meñ rū-posh haiñ
mujh ko tanhā dekhne vaale na samjheñ rāz-e-ishq
merī tanhā.ī ke lamhe yaar ke āġhosh haiñ
'sarmad'-o-'mansūr'-o-'shiblī' kī nazar se dekhiye
hosh vaale haiñ vahī duniyā meñ jo behosh haiñ
lan-tarānī kī sadā par muskurāyā thā koī
jitne zarre tuur meñ the aaj tak behosh haiñ
ai 'fanā' bāda-kashī meñ ye unhī kā hai karam
un kī mast āñkhoñ se pī kar bhī sarāpā hosh haiñ
Top Urdushayar.com