kis ko sunā.ūñ hāl-e-ġham koī ġham-āshnā nahīñ
aisā milā hai dard-e-dil jis kī koī davā nahīñ
merī namāz-e-ishq ko shaiḳh samajh sakegā kyā
us ne dar-e-habīb pe sajda kabhī kiyā nahīñ
mujh ko ḳhudā se āshnā koī bhalā karegā kyā
maiñ to sanam-parast huuñ merā koī ḳhudā nahīñ
kaise adā karūñ namāz kaise jhukā.ūñ apnā sar
sehn-e-haram meñ shaiḳh-jī yaar kā naqsh-e-pā nahīñ
kyā haiñ usūl-e-bandagī ahl-e-junūñ ko kyā ḳhabar
sajda ravā kahāñ pe hai sajda kahāñ ravā nahīñ
mujh se shurū-e-ishq meñ mil ke jo tum bichhaḌ ga.e
baat hai ye nasīb kī tum se koī gila nahīñ
mujh ko rah-e-hayāt meñ log bahut mile magar
un se milā de jo mujhe aisā koī milā nahīñ
apnā banā ke ai sanam tum ne jo aañkh pher lī
aisā bujhā charāġh-e-dil phir ye kabhī jalā nahīñ
ishq kī shaan marhabā ishq hai sunnat-e-ḳhudā
ishq meñ jo bhī miT gayā us ko kabhī 'fanā' nahīñ