ġham-e-duniyā ġham-e-hastī ġham-e-ulfat ġham-e-dil
kitne unvān mile haiñ mire afsāne ko
phir se aa jā.egī dekho tan-e-be-jān meñ jaan
aap āvāz to diije zarā dīvāne ko
be-ḳhudī meñ bhī tirā naam liye jaate haiñ
rog ye kaisā lagā hai tire mastāne ko
tujh se bas itnī talab hai tire dīvāne kī
apne jalvoñ se sajā de mire ġham-ḳhāne ko
sho.ala-e-dard-e-mohabbat koī bhaḌkā.e to
ham to tayyār haiñ is aag meñ jal jaane ko
gar mirā zauq-e-jabīñ-sā.ī salāmat hai 'fanā'
ka.aba ik roz banā dūñgā sanam-ḳhāne ko