Bismil Allahabadi

jine wala ye samajhta nahin saudai hai

Bismil Allahabadi

jiine vaalā ye samajhtā nahīñ saudā.ī hai
zindagī maut ko bhī saath lagā laa.ī hai
ye bhī mushtāq-adā vo bhī tamannā.ī hai
khiñch ke duniyā tire kūche meñ chalī aa.ī hai
khul ga.e naza.a meñ asrār-e-tilism-e-hastī
ziist kahte haiñ jise maut kī añgḌā.ī hai
kah ga.e ahl-e-chaman ye tire dīvānoñ se
hosh meñ aao zamāne meñ bahār aa.ī hai
maiñ kisī roz dikhā.ūñ dil-e-sad-chāk-adā
tujh ko mālūm to ho kyā tirī añgḌā.ī hai
DhūñDhtī kyuuñ na rahe us ko abad tak duniyā
jis ne chhupne kī azal hī meñ qasam khaa.ī hai
phuuT kar paañv ke chhāle mire laa.e ye rañg
baaġh to baaġh hai sahrā meñ bahār aa.ī hai
jalva-e-roz-e-azal ne mujhe bechain kiyā
pahlī duniyā meñ ye pahlī tirī añgḌā.ī hai
jis kī sehat ke liye aap duā.eñ māñgeñ
aise bīmār ko bhī maut kahīñ aa.ī hai
teġh-e-qātil ko pas-e-qatl nadāmat hogī
dam se 'bismil' hī ke ye ma.arka-ārā.ī hai
Top Urdushayar.com